Lenovo Thinkpad T14s on Sale for Rs. 80,000

loan-app-ban-Pakistan-smk-mojo-222

Pakistan mein 100 se zyada digital loan apps ko blacklist kar diya.

fynd-1
2 years Ago
News
From Pakistan

Wo apps jo online sood par mabni qarze pesh karte hain, hakumat ne 111 online apps ko blacklist kar diya hai, Nigran Wazir e Dakhla Sarfaraz Bugti ne monday ko ilaan kiya.

Yeh karwai Senator Mushtaq Ahmed ki taraf se shuru ki gayi behas ke baad hui, jisne mulk bhar mein aisi apps ki bht ziyada mojoodgi ke bare mein khadshat zahir kiye.

Wazir Bugti ne is baat ka inkishaaf kiya ke Federal Investigation Agency (FIA) ke Cyber Wing ne sood ki 1.8 billion rupees ki raqam bhi zabt kar li hai.

FIA ne in mobile apps kay pichy afraad ke khilaf bhi maqadmat darj kiye hain , unhone kaha ke unke maqadmat adalaton mein zair-e-samahat hain.or is baat ko wazya kiya kay mamla samnay aty hi hakoomat ki janib se fori iqdamat kiye gay.

Senator Mushtaq ne roshni dali ke talba aur taleem yafta afraad ki ek bari tadad online sood par qarzay faraham karne wali apps ka shikar ho chuki hain.

Ibtidayi tor par yeh app talba aur be-rozgar afraad ko mamooli sood par qarzoon ki peshkash karti thi or baad mein unhe bhari sood ada karne par majboor kiya jata tha. In betehasha applications ne ek wasee masla paida kar diya hai jis ne bht ziyada afraad ko maali jaal mein phansa diya hai..

You Got 850 Fynd Coins

Login or Create Your Account to Collect and Earn Coins daily Without Any Investment

5 Fynd Coins
0.00
0.00
Account Banned Due To