Kapil dev ne babar azam kay bary mein boltay hue is baat par zor diya ke unka faisla sirf mojooda karkardgi ki bunyad par karna ghair insafana hoga.
Unka kehna tha kay,ap pakistani cricket kay kaptaan ko bolyein gy k aj babar theek nh kyon kay ap aaj dekh rahe hain. Ye wohi kaptaan hai jis ne 6 maah pehlay pakistani team ko number one banaya.
Mazeed unho ne kaha, jab koi 0 banata hai to agar ap public opinion lo gay to to 99% kehty hain ise drop kar do. Aik oridnary player ata hai or brilliant innings khelta 100 ki to kehtay hain yehii superstar h
So don’t go with current performance. Ye dekhein kay wo kesa khelta hai,Kitna junoon hai talent hai. Ap pehli ball pay bhi out ho sakty hain . duniya ka aisa koi batsman nh jo pehli ball pe out na ho, Kpil dev ne kaha.. Unka kehna tha kay main ise aisay nh dekhta ye apni apni soch hai.