Elon Musk ne kaha ke unka khayal hai ke AI insaniyat ke liye khatre ka baees ban sakta hai.
Bletchley Park mein AI safety summit se guftagu karte hue, Tech Billionaire ne PA ko bataya:
Mera matlab hai pehli bar hamare paas aisi surat-e-haal hai jahan koi aisi cheez hai jo hoshiyar tareen insaan se kahin zyada hoshiyar hai.
Elon Musk ne kaha ke aap jante hain hum dosri makhlooqat ke muqable mein zyada mazboot ya tez nahi hain lekin hum zyada zehin hain aur yahan hum waqai insani tareekh mein pehli bar kisi aisi cheez ke saath hain jo humse kahin zyada zehin hone wala hai.
Muje lagta hai ke yeh ek wajoodi khatrat mein se aik hai jis ka hamein samna hai aur yeh mumkinah tor par sab se zyada dabao wala hai, kyunke agar aap time scale aur taraqqi ki sharah ( the rate of advancement ) dekhein to mein samajhta hoon ke yeh sarbarahi ijlas barwaqt hai, aur mein is ke aniqad par Wazir-e-Azam ki tareef karta hoon.