Bahawalpur kay chiriya ghar mein tiger kY pinjare se aik shakhs ki laash mili hai.
Chiriya ghar kay intizamiya ka kehna hai kay jb aik hamara amla bangali tiger ko goshat dalne gaya to usne dekha kay baingali tiger ne bohat bure tareeke se us shakhs pr hamla kiya hua tha aur uski laash pari mili.
Jis pinjare se lash mili hai usme 4 tiger the, chiriya ghar intizamiya.
Chiriya ghar intizamiya ka moaqaf hai kay yeh wakiya raat ko pesh aya.
Laash ki shinakht nahi ho saki aur na hi laash qabil e shinakht hai.
Ye aik sawal hai kay wahan per itni security hoti hai to kisi ne dekha kyoon nahi us shakhs ko pinjare mein jaty huy aur phr chheekh ki awaz ayi ho gi to kisi ne suni kyoon nahi aur na kisi ne dekha.
Zaheer anwar DC bahawalpur, ka kehna hai kay ye chiriya ghr ki intizamia kay sare amle ko call kar li hai sab mojood hain. aur na hi koi public se ksi ny shikayat ki h kisi shakhs k lapata hone ki.
Chiriya ghar k mutabik aur main ne dekha hai kay ye to aik khudkashi karne ki koshish hai aur agr kisi ne report nahi kiya na public ne btaya aur koi shikayat ki darkhawast bhi nahi aai to hmre mutabik ya to koi drug addict aya tha, zaheer anwar DC bahawalpur.
Rat tak iski karwai mukammal ho jay gi, zaheer anwar DC bahawalpur.