Karachi mein stock exchange award ki takreeb mein khitaab krte huy Nigran Wazir-e-Azam Anwar-ul-haq kakar ne kaha kay stock exchange aik dynami force hai.
Pakistan ki maeeshiyat ne bohat ziada challanges ka samna kiya hai, Nigran Wazir-e-Azam Anwar-ul-haq kakar.
Hakumat e pakistan ne bharpoor koshishein kien. Saakhti (Structural) aur macro Iqtisadi (Macro-economic) ikdamaat uthay gay, jin ki waja se maeeshiyat ko farokh mila hai, Nigran Wazir-e-Azam Anwar-ul-haq kakar.
Main stock holders ka shukar guzar hoon kay unho’n ne kaafi mehnat ki hai maeeshiyat ko track per lanay main or dollar ka rate kam hua hai , Jo apni bulan tareen satah teen so saat 307 rupay tak pohanch gaya tha or ab 284 tak a gaya hai, Nigran Wazir-e-Azam Anwar-ul-haq kakar.
Dollar ki keemat mein kami anay se mehngaai mein bhi kami a gai hai.
September se ab tak stock market index chaalis feesad 40% barh gaya hai, Nigran Wazir-e-Azam Anwar-ul-haq kakar.
IMF se stand-by moahide se sarmaya karo’n ka aitmaad bahal hua hai, Nigran Wazir-e-Azam Anwar-ul-haq kakar.